mujhe malum tha ye din bhi dukh ki kokh se phuta hai meri matami chadar nahin tabdil hogi aaj ke din bhi jo rakh udti thi khwabon ki badan mein yunhi aashufta rahegi aur udasi ki yahi surat rahegi main apne sog mein matam-kunan yun sar-ba-zanu raat tak baithi rahungi aur mere khwabon ka pursa aaj bhi koi nahin dega magar ye kaun hai jo yun mujhe bahar bulata hai badi narmi se kahta hai ki apne hujra-e-gham se nikal kar bagh mein aao zara bahar to dekho dur tak sabza bichha hai aur hari shakhon pe naranji shagufe muskuraate hain mulaem sabz patton par padi shabnam sunahri dhup mein hire ki surat jagmagati hai darakhton mein chhupi naddi bahut dhime suron mein gungunati hai chamakte zard phulon se ladi nannhi pahadi ke aqab mein nuqrai chashma khushi se khilkhilata hai parind-e-khush-gulu shakh-e-shagufta par chahakta hai ghane jangal mein barish ka ghubar-e-sabz sath-e-shisha-e-dil par mulaem ungliyon se marhaba ke lafz likhta hai koi aata hai aa kar chadar-e-gham ko badi aahistagi se mere shanon se hata kar sat rangon ka dupatta khol kar mujh ko udata hai main khul kar sans leti hun mere andar koi pairon mein ghunghru bandhta hai raqs ka aaghaz karta hai mere kanon ke aawezon ko ye kis ne chhua jis se lawen phir se gulabi ho gai hain koi sargoshiyon mein phir se mera nam leta hai faza ki naghmagi aawaz deti hai hawa jam-e-sehat tajwiz karti hai