dil hi mein dard-e-dil rahe lab par fughan na ho raaz-e-nihan ka aur koi raaz-dan na ho ek jam mein jo jalwa-e-kaun-o-makan na ho zahid murid-e-hazrat-e-pir-e-mughan na ho ye kya kaha ki raaz-e-mohabbat ayan na ho mumkin nahin ki aag lage aur dhuan na ho dar-o-madar tere hi lutf-o-karam pe hai tu meherban na ho to koi meherban na ho insan wo kare jo malak bhi na kar saken fikr-e-maash 'nur' agar darmiyan na ho