hijrat

wo pattharon ke qabile ki reshmi ladki
riwayaton ki fasilon mein khud ko qaid kiye

fareb-e-zat ki ek khushnuma haweli mein
akele-pan ki katha sun rahi thi phulon se

aur apne aap ko bahlae thi parindon se
ki us ki ruh ki wadi mein ek hiran-jazba

qulanchen bharta hua khaiyon mein daud gaya
ye pattharon ke qabile ki shahzadi bhi

har e'timad ki zanjir tod kar nikli
talash karti hui apna wo hiran-jazba

dukhon ki jhil kinare udas aa baithi
wo khar khinch rahi thi ana ke talwon se

kanwal hatheliyan chhil kar gulab hone lagin
shikan shikan tha khayalon ka pairahan sara

lahu lahu tha tamannaon ka badan sara
gulabi umr ke mausam mein ghar se nikli thi

wo pattharon ke qabile ki reshmi ladki
mohabbaton ke qabile mein aan pahunchi thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close