alman mein raat ke is pahar ek hi kursi par baithe ek hi manzar ko ghurte jab naukri par night shift karte mera satwan ghanta chal raha hai to ba-zahir sab sakit hai sukut mein hai magar ba-baatin tumhaari sochon ka sayyal kisi ghuman gheri ki tarah mere dil-o-dimagh ke sabhi nihan-o-ayan goshon mein be-awaz tufan barpa kiye hue hai tum jo koson dur apne atraf mein raushni phutne ka manzar-nama faramosh kiye bahni jaanib khulne wali khidki ke sath lage king size palang par akele so rahe ho tumhein kya khabar sakit manzaron mein tartib pane wale khamosh tufan kaisi tabahi ka pesh-khema ho sakte hain tumhein kya khabar rat-jagon mein palne wale kale ishq kaisi gahri aankhon ka madfan ho sakte hain mera tum se mohabbat nahin junun ka rishta hai aur majnun ki aah se khud junun bhi khauf khata hai tum jo mere junun ko nidar sahilon se ho kar lalkarte rahte ho tumhein kya khabar tufani raaton mein sahilon se lautne wali sadaen apni june se bigdi hui haalaton mein palatti hain kabhi jo tum un ke maskh-shuda chehron par wahshat ki aadi-tirchhi satren padh pao to ek la-mukhtatim be-khwabi ke maraz mein pad jao