sakht hairat hai ye kis bazm mein baitha hun main ahl-e-mahfil ko bade ghaur se takta hun main ek surat nazar aati nahin dekhi-bhaali kaun se log hain ye jin mein ki tanha hun main bekasi par meri roti hai meri tanhai sifat-e-shama jab is bazm mein jalta hun main ham-zaban hai na koi aur na koi hamraaz dastan apni hawaon ko sunata hun main phenk deta hun fazaon mein nawaen dil ki apna dam-saz kisi ko nahin pata hun main aah duniya teri wusat mein ye kya hai ki koi na to mera hai shanasa na kisi ka hun main koi dil-soz nahin dahr mein is dil ke siwa aur is dil se bhi kam-bakht bhadakta hun main kuchh ajab haal hai aashufta-mizaji ka meri kabhi ro deta hun main to kabhi hansta hun main ruh ghutti hai jo is tang qafas mein meri sifat-e-murgh-e-giraftar phadakta hun main barq ki lahr si hai har rag-o-pai mein sari hama-tan nabz ki manind tadapta hun main dil dhadakta hai to kanon mein ye aati hai sada rahm ai shiddat-e-ehsas ki phatta hun main kabhi taskin ke liye hai gul-o-gulshan ki talash kabhi wahshat mein su-e-dasht lapakta hun main koi dekhe meri us waqt ki shorida-sari dar-o-diwar se jab sar ko patakta hun main dil-e-hassas bhi kya chiz hai allah allah jab kali koi chatakti hai dahalta hun main sans leta hun to andar se nikalta hai dhuan kaun si aag hai ye jis mein ki jalta hun main rakh kar di tapish-e-ishq ne sari hasti ek shoala ki tarah phir bhi lapakta hun main kisi karwat kisi pahlu nahin aaram mujhe kaun sa dard hai ye jis se tadapta hun main chain aata nahin ek dam bhi jo is dil ko 'jalil' kis ko is pap ki basti mein bhatakta hun main