ek hai apni zamin ek hai apna gagan ek hai apna jahan ek hai apna watan apne sabhi sukh ek hain apne sabhi gham ek hain aawaz do hum ek hain ye waqt khone ka nahin ye waqt sone ka nahin jago watan khatre mein hai sara chaman khatre mein hai phulon ke chehre zard hain zulfen faza ki gard hain umda hua tufan hai ghar ki hifazat farz hai bedar ho bedar ho aamada-e-paikar ho aawaz do hum ek hain ye hai himala ki zamin taj-o-ajanta ki zamin sangam hamari aan hai chittor apni shan hai gul-marg ka mahka chaman jamuna ka tat gokul ka ban ganga ke dhaare apne hain ye sab hamare apne hain kah do koi dushman-nazar utthe na bhule se idhar kah do ki hum bedar hain kah do ki hum tayyar hain aawaz do hum ek hain uttho jawanan-e-watan bandhe hue sar se kafan uttho dakan ki or se gang-o-jaman ki or se punjab ke dil se utho satlaj ke sahil se utho bangal se gujraat se kashmir ke baghat se nefa se rajasthan se kul khak-e-hindostan se aawaz do hum ek hain hum ek hain hum ek hain