hum teri takzib kar sakte nahin

ai zamane
hum teri takzib kar sakte nahin

tu ne hatae parda-ha-e-khushnuma
wo jin ke pichhe chhup ke baithi

zindagi pahchan bhi pate to kaise
ai zamane

hum teri takzib kar sakte nahin
kanton pe tu ne jab ghasita to

subuk phulon mein talne ki
kitabi khwahishon se jaan chhuti

ai zamane tu ne hum ko
tajraba-e-gah-e-nafi mein

la ke phenka to
tabah zat ki

asli guzargahon ka nazara mila
ai zamane hum ko batlaya hai tu ne

dusron ke panw mein rahne
pade rahne se

wo ja aastana dil ka ban sakti nahin
man ki muraden bar to aati hain

magar apne hi dar ko khatkhatane se
lagan ko aazmane se

zamane hum teri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close