iblis ye anasir ka purana khel ye duniya-e-dun sakinan-e-arsh-e-azam ki tamannaon ka khun is ki barbaadi pe aaj aamada hai wo karsaz jis ne is ka nam rakha tha jahan-e-kaf-o-nun main ne dikhlaya farangi ko mulukiyat ka khwab main ne toda masjid-o-dair-o-kalisa ka fusun main ne nadaron ko sikhlaya sabaq taqdir ka main ne munim ko diya sarmaya dari ka junun kaun kar sakta hai is ki aatish-e-sozan ko sard jis ke hangamon mein ho iblis ka soz-e-darun jis ki shakhen hon hamari aabiyari se buland kaun kar sakta hai is nakhl-e-kuhan ko sar-nigun pahla mushir is mein kya shak hai ki mohkam hai ye iblisi nizam pukhta-tar is se hue khoi ghulami mein awam hai azal se in gharibon ke muqaddar mein sujud in ki fitrat ka taqaza hai namaz-e-be-qayam aarzu awwal to paida ho nahin sakti kahin ho kahin paida to mar jati hai ya rahti hai kham ye hamari sai-e-paiham ki karamat hai ki aaj sufi-o-mulla mulukiyyat ke bande hain tamam tab-e-mashriq ke liye mauzun yahi afyun thi warna qawwali se kuchh kam-tar nahin ilm-e-kalam hai tawaf-o-haj ka hangama agar baqi to kya kund ho kar rah gai momin ki tegh-e-be-niyam kis ki nau-midi pe hujjat hai ye farman-e-jadid hai jihad is daur mein mard-e-musalman par haram dusra mushir khair hai sulatani-e-jamhur ka ghaugha ki shar tu jahan ke taza fitnon se nahin hai ba-khabar pahla mushir hun magar meri jahan-bini batati hai mujhe jo mulukiyat ka ek parda ho kya is se khatar hum ne khud shahi ko pahnaya hai jamhuri libas jab zara aadam hua hai khud-shanas-o-khud-nigar karobar-e-shahryari ki haqiqat aur hai ye wajud-e-mir-o-sultan par nahin hai munhasir majlis-e-millat ho ya parwez ka darbar ho hai wo sultan ghair ki kheti pe ho jis ki nazar tu ne kya dekha nahin maghrib ka jamhuri nizam chehra raushan andarun changez se tarik-tar tisra mushir ruh-e-sultani rahe baqi to phir kya iztirab hai magar kya is yahudi ki shararat ka jawab wo kalim-e-be-tajalli wo masih-e-be-salib nist paighambar wa-lekin dar baghal darad kitab kya bataun kya hai kafir ki nigah-e-parda-soz mashriq-o-maghrib ki qaumon ke liye roz-e-hisab is se badh kar aur kya hoga tabiat ka fasad tod di bandon ne aaqaon ke khemon ki tanab chautha mushir tod is ka rumat-ul-kubra ke aiwanon mein dekh aal-e-ceaser ko dikhaya hum ne phir ceaser ka khwab kaun bahr-e-rum ki maujon se hai lipta hua gah baalad-chun-sanobar gah nalad-chun-rubab tisra mushir main to is ki aaqibat-bini ka kuchh qail nahin jis ne afrangi siyasat ko kya yun be-hijab panchwan mushir iblis ko mukhatab kar ke ai tere soz-e-nafas se kar-e-alam ustuwar tu ne jab chaha kiya har pardagi ko aashkar aab-o-gil teri hararat se jahan-e-soz-o-saz ablah-e-jannat teri talim se dana-e-kar tujh se badh kar fitrat-e-adam ka wo mahram nahin sada-dil bandon mein jo mashhur hai parwardigar kaam tha jin ka faqat taqdis-o-tasbih-o-tawaf teri ghairat se abad tak sar-nigun-o-sharmsar garche hain tere murid afrang ke sahir tamam ab mujhe un ki farasat par nahin hai e'tibar wo yahudi fitna-gar wo ruh-e-mazdak ka buruz har qaba hone ko hai is ke junun se tar tar zagh dashti ho raha hai ham-sar-e-shahin-o-chargh kitni surat se badalta hai mizaj-e-rozgar chha gai aashufta ho kar wusat-e-aflak par jis ko nadani se hum samjhe the ek musht-e-ghubar fitna-e-farda ki haibat ka ye aalam hai ki aaj kanpte hain kohsar-o-murgh-zar-o-juebar mere aaqa wo jahan zer-o-zabar hone ko hai jis jahan ka hai faqat teri siyaadat par madar
This is a great dosti pe shak shayari. True lovers of namaz sher shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this sufi shayari images is truly a work of art. Please share if you liked this!!!