lo id aai ai dil ba-sad shan-o-shaukat khushi har taraf har taraf hai masarrat hawa ga rahi hai khushi ke tarane falak pe hai chhaya hua abr-e-rahmat koi doston se gale mil raha hai koi kah raha hai mubarak salamat wo khud mujh se milne ko ghar mere aae inayat inayat inayat inayat hai din eid ka aaj thodi si pi le karen zahid aaj aur kya teri khidmat gale aao mil lo ki hai eid ka din jhijakte ho kyon is mein kya hai qabahat rakha nisf roza kabhi us se kuchh kam rakha roza lekin ba-qadr-e-zarurat hain farzi fasane hain qisse khayali na dozakh kahin hai kahin hai na jannat unhin ko mubarak ho dozakh se darna hue hain jo duniya mein mayus-e-rahmat khata par khata main ne ki ye samajh kar khatawar honge saza-war-e-rahmat ye bedard duniya masaib ka ghar hai sukun se jo dam guzre samjho ghanimat khudaya gunah mere had se siwa hain jo tu bakhsh de hai teri shan-e-rahmat