khuli hai khatm-e-marahil pe surat-e-manzil ye ek sabr ka samra hai waza-daron ko gulu ka shahad bar aaya lab-e-shahadat par tulua-e-mah-e-mubarak ho intizaron ko tulu-e-subh-e-musaid se sham-e-ishrat tak bisat-e-shauq sajaegi jashn-zaron ko zara si baat hai ima-e-raushni samjho andhera zahir-o-baatin ka chaak-chaak rahe rahe na mushaf-e-hasti kuduraton se ghaliz mataa-e-feal-o-sukhan laghzishon se pak rahe safa-o-sidq hon kirdar ki khuli tahrir na koi wahm ho baqi na koi bak rahe zahe ye hubb-e-baham ai ukhuwwat-e-islam tera wajud hi shahkar hai nubuwwat ka bashar-shanas anasir ka markaz-e-manus sada-bahaar gulistan wafa aqidat ka bas ek sina-e-momin mein jazba-e-isar rahega madd-e-muqabil ye har aziyyat ka watan ke ma'raz-e-har-farz-o-zimmedari mein shuur-e-zist ka aaghaz-e-ba-waqar hai id qadam qadam mein samete kai siyaq-o-sabaq uruj-e-qaum ki jaanib naya shiar hai id bas ek nazm hai jamhur ke iradon ka ye bandagi ka ijara na ikhtiyar hai id