wo kahte hain main kabhi zinda nahin tha is liye na wo meri hansi ke bare mein kuchh bata sakte hain na aansuon ke bare mein ya ye ki jab main chalta tha to mere panw zamin par thik tarah se padte bhi the ya nahin unhon ne hamesha mujhe be-jaan hi paya aise ki meri nabz ruki hui thi dil sakit aur jism siyah pad chuka tha lekin meri aankhen puri tarah khuli hui thin jin se unhen khauf aata tha lekin rafta rafta un ka khauf rafa hota gaya un ka subut ye hai ki wo apni bekar ashiya meri taraf uchhaal dete the kabhi wasli ka khali duba ainak ki tuti hui kamani ya be tale ki koi chabi agarche is baat se wo puri tarah aagah the ki aisa karte hue wo ek lash ki be-hurmati kar rahe the lekin ab wo is baat ke goya aadi ho gae the aisa karte hue unhen kisi qism ki jhijak ya sharmindagi nahin hoti thi shayad unhon ne kisi waqt meri lash ko kahin thikane lagane ke bare mein bhi socha ho par aisa kar na pae hon shayad kisi ne unhen aisa karne se rok diya ho shayad wo meri khuli hui aankhen dekh kar dar gae hon shayad wo khud apni nabzen tatolne apni dhadkanen sunne aur apne jism mein runuma hone wali tabdiliyon se buri tarah khaif hone lage hon apne is khauf par qabu pane ke liye shayad unhon ne apni be-kar ashiya meri taraf uchhaalni shurua kar di hon shayad yun wo apne liye kisi nae mazhab ki buniyaad dal rahe hon jis mein unhen lashon ki be-hurmati ki khuli chhut de di gai ho main in ki kisi ghalat fahmi ko dur karne ki koshish nahin karunga ki mere maslak mein lashon ki be-hurmati ki koi gunjaish nahin zindon ki bhi nahin