ilm ki wusat ka koi bhi sira hota nahin ilm ki kashti ka koi nakhuda hota nahin ilm walon ko muqaddar se gila hota nahin ilm walon ka koi bhi juz khuda hota nahin ilm hai to dar-haqiqat aadmi hai aadmi ilm hai to us ki duniya mein rahegi raushni ilm wo shai hai jise koi chura sakta nahin chhinna chahe ise koi to pa sakta nahin ilm hai to zindagi koi dikha sakta nahin ilm hai to aadmi dozakh mein ja sakta nahin ilm hi se ab jihaalat ko mitaya jaega ilm se aazad hindostan banaya jaega ilm duniya-e-jahaalat mein hai lata inqalab ilm chamkata hai zarron ko bana kar mahtab ilm se aalam ka rukh jaise shagufta ho gulab ilm hi se dur hota hai hamesha pech-o-tab ilm raushan karta hai tarikiyon ko is tarah rasta batlae bijli baadalon mein jis tarah jis kisi ne pa liya hai ilm ka rangin bagh jis kisi ne ilm ki rahon ka paya hai suragh mustaqil us ke irade us ka raushan hai dimagh aandhiyan bhi ab bujha sakti nahin us ka charagh azmat-e-ilm-o-hunar se badh ke koi shai nahin qadr-o-qimat ahl-e-fan ki har jagah hai har kahin