abbu-jaan aksar kahte the sach ko zara mushkil aati hai fath magar mil jati hai jaise bhi haalat hun bad-tar kisi ke aage jhukna mat zehn ka sauda karna mat ammi kab pichhe rahti thin wo bhi hamesha kahti thin beta din-o-mazhab ko aur umda akhlaq ko tum ammi jaan sa pyara jaano lekin jhut aur makr fareb bad-ahdi aur dil-azari un se duri rakhna tum yaad hain mujh ko wo baaten bhi maktab mein jo aagha the bade hi pyar aur badi jatan se ujle kaghaz jaise dil pe hum sab ke ye likhte the mehnat diyanat achchhi baaton jurat aur haq-goi ko ilm ka hasil meri izzat ghar walon ki daulat samjho bhayya jo kam kam dikhte the ganw ganw phirte rahte the gande-made logon ko bhuke-nange bachchon ko jaane kya kya sikhlate the hum jaisa hi batlate the nahin kisi se nafrat karna aazadi pe jaan de dena aur bhi kuchh kahte the wo ye sab baaten bachpan ki hain lekin ab to bap bhi hun main maktab ke aagha ki tarah se bachchon ka ustaz bhi hun main ammi jaan ki sari baaten ab bhi mere zehn mein hain bhayya ke aadarshon ko kabhi bhula na paya main par ab jo main dekh raha hun samaj mein baste logon ko ammi abbu ki baaton ka jo jo natija bhog raha hun aagha ke anmol se moti dekh ke sab hanste hain log bhayya ke aadarsh ko bhi sab mara mara sa kahte hain phir kaise ye sari chizen mein apne bachchon ko dun aisi gahri tariki mein ammi abbu aagha ke haq akhlaq aur gyan ke jugnu raushni kya phailaenge ya ghup andhere ke ajgar chun chun ke unhen kha jaenge jab jab sochta hun ye sab dubidha mein pad jata hun tab haule se dil mein utar kar ammi jaan ki ruh-e-muqaddas chup ke se kah jati hai bete jab abbu ne main ne bhayya aur aagha sahab ne apni amanat di thi tujh ko tab bhi aise log the baste tab bhi aisa ghup andhera aisi hi tariki thi