sameto in bikharti saaton ko band mutthi khol kar aazad kar do sari samton ko nigahon ki hadon se sab manazir hatte jate hain sarabon ke samundar ke kinare katte jate hain sarabon ke samundar ke musafir chhoti chhoti tukdiyon mein batte jate hain hawa ke hont in alfaz ko dohraate jate hain sameto in bikharti saaton ko band mutthi khol kar aazad kar do sari samton ko