zindagi ke gham-o-alam se takrane de dard ban kar mujhe ehsas pe chha jaane de do qadam aur hain manzil pe pahunch jaane de phir teri bazm mein aaunga ghazal-khwani ko chand lamhe meri khatir se sahi aur thahar dard ke saye mein palti hai tamna-e-hayat khun milta hai to lau deti hai kuchh sham-e-hayat ek tamasha hai sar-e-dar ba-unwan-e-hayat zindagi ko nae unwan se saja lene de chand lamhe meri khatir hi sahi aur thahar ab bhi afkar pe pahra hai siyah-karon ka soch sakte hain magar jurat-e-taqrir nahin hijr ki aag mein jalta hai tamanna ka shabab meri taqdir hai jalna teri taqdir nahin chand lamhe meri khatir se sahi aur thahar ab bhi kante hain mohabbat ki guzargahon par ab bhi har rah pe rahzan hain ba-shakl-e-rahbar ab bhi shair ke muqaddar mein hai be-nur sahar ab bhi mauqa hai zara soch mere sath na aa chand lamhe meri khatir se sahi aur thahar sath chalti hai to kanton se guzarna hoga kasa-e-dil gham-o-alam se bharna hoga saya-e-dar-o-rasan mein bhi sanwarna hoga chand lamhon ke liye khud ko pareshan na kar shab ko pahuncha ke sahar tak main chala aaunga chand lamhe meri khatir se sahi aur thahar