teri hi justuju mujhe tera hi intizar hai tujh se bichhad ke ai sanam chain hai na qarar hai teri sadaen kan mein gunj rahi hain bar bar saz-e-hayat ka mere chheda hai tu ne tar tar kitne hi din guzar gae aae hazaron inqalab aankhen taras ke rah gain tut gae hasin khwab bagh-e-shabab mein mere aa ke gai bahaar bhi phul khile bikhar gae rukhsat hua qarar bhi kaga ke kaen kaen se dil ko to aas bhi hui pi jo kaha papihe ne dil ki mere khalish badhi jun-hi kisi ne di sada daud ke su-e-dar gaya dhak se hua hai dil mera jab bhi koi thahar gaya din jo kisi ne thapkiyan mere dar-o-diwar mein tufan sa uth ke rah gaya baada-e-intizar mein teri hi yaad mein sanam dil ka ye haal-e-zar hai tere hi hijr mein mujhe jina bhi nagawar hai khana-kharab ho ke main khub hi dar-ba-dar hua musht-e-ghubar bhi bana zarra-e-rahguzar hua ashk bhi khushk ho chuke bujh bhi chuki nazar ki pyas sab to hua magar kabhi puri hui na meri aas teri talash chaar-su mujh ko to subh-o-sham hai raaton ki nind teri hi yaadon se ab haram hai ab main karun to kya karun koi mujhe batae to kis se kahun kidhar phirun jaun kahan batae to ab bhi wahi junun hai ab bhi wahi khumar hai pahle bhi intizar tha aaj bhi intizar hai