irfan

in ko sajda karo
ye hain khaqan-e-waqt

in ke qadmon pe jhukte hain shahon ke sar
in ke dar par raha karte hain hajiban-e-kiram

in ki khalwat ki zinat kanizan-e-simin-badan
in ko sajda karo

nam ka in ke kalima padho
pir-o-murshid hain ye

ye hain mushkil-kusha
shah-o-darwesh sab in ke hain zalla-khwar

in ke lab par hai quran dil mein khuda
in ke panw pe kham hai sar-e-ittiqa

hur-o-ghilman hain in ke ghulam
in ko sajda karo

nam ka in ke kalima padho
ye siyasat ke ek mard-e-maidan hain

khak-e-pa in ki hai surma-e-chashm-e-ahl-e-khirad
qibla-e-ahl-e-hajat hain ye

in se qaem bharam qaum ka
sarzamin mulk ki in se hai rashk-e-arsh-e-barin

thokaron mein hain in ki wazir-o-amir
in ko sajda karo

nam ka in ke kalima padho
nafs-e-sarkash mera

roz sunta raha
sar bhi dhunta raha

kham na lekin hua
mera sar

dar pe khaqan ke
murshid-e-waqt ke panw par

qibla-e-ahl-e-hajat ki chaukhat pe bhi
aur phir yun hua

mera sar
ho gaya

apne aage hi kham


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close