ishq

main teri khoj mein
sahra sahra bhatakti rahi muddaton

nange panw mein phute hue aable jab sisakne lage
hont pani ki khatir bilakne lage

khushk honton pe apni zaban pherte
aasman ki taraf aankh daudai to

aankh se chand aansu tapak kar mere
kan ko dhanpte mere baalon ki sukhi laton ko bhigote hue kan mein ja gire

chikhte chikhte jab gala phadte
meri aawaz bhi baith jaane laggi

tujh ko aawaz de kar pukara bahut
meri apni sada kuchh pahadon se takra ke apne hi kanon mein laut aai to

phir mujhe yun laga
meri har ek sada ab tere kan ko chirne se to qasir rahegi sada

mujh ko tu na mila
gard aalud bikhre hue baal aanchal se dhanpe hue

main khuda ke jo sajde mein phir gir padi
chikhti hi rahi

chikhti hi rahi
chikhti hi rahi

mujh ko tu to mila hi nahin han magar
phir kuchh aisa hua

mere ashkon ne sahra ki tapti hui ret ki pyas ko jab bujhaya to phir us samay
ek jhonka sa chanchal si khushbu liye mere atraf mein khil gaya

tu mila ki nahin par khuda mil gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close