sulagne wale nagar ki raushan sadak pe koi phata purana libas pahne ye kah rahi thi hawas parasto! mere batn se gire janaze tumhaare chehre pe thukte hain kai gul-e-nau-damida apni phati qabaon pe ro rahe hain khizan bahaaron ko nochti hai tumhaara wahshi samaj kaise libas pahne ki jis ne nange badan ka sauda kiya hua hai tumhaari aankhen darindagi se bhari hui hain tumhaari shalwar gir rahi hai to wahshiyo! ye izar-band apne waste lo bahut hi achchha bahut hi sasta ye tis ka ik, pachas ke do, ye tis ka ik, pachas ke do tumhaari shalwar ka gala ye dabae rakhe hamari izzat bachae rakhe ye tis ka ik, pachas ke do