tujh se ek umr ka paiman tha magar mera nasib inqilabaat ka mahkum hua jata hai wo tasawwur jo kai bar nikhaara main ne itna mauhum hai madum hua jata hai teri aankhon mein jagae the sitare main ne aur chhalkae the galon mein hayaon ke ayagh koi ehsas na tha waqt ki gardish ka mujhe warna kya raat se milta nahin suraj ka suragh is chaka-chaund mein ab tujh ko pukarun kaise sail-e-anwar mein taron ka guzar kya hoga tah-e-daman jo charaghon ko chhupae rakhun sochta hun ki phir anjam-e-safar kya hoga mujh ko aawaz na de waqt ke sahraon mein main bahut dur bahut dur nikal aaya hun main ufuq par bhi nahin hun main falak par bhi nahin main tere mazi-e-marhum ka ek saya hun