aaya ek hawa ka jhonka yaaden bahut si le aaya raat ke sannate ki khushbu ujli subh ki chahkaren sabz mulaem patton wale bhige tanon ka taza lams unche ghane jangal ke andar sanp se bal khate raston par honton pe aankhon mein sajae jhijak khalish ki titli ko mera us ka tanha saya wo lamha bhi yaad aaya jab hum jaise hi bhule-bhatke kale mast siyah baadal dharti se milne ki khatir baras pade the pedon par phir kaisi saat thi aai khauf na tha gum hone ka tanha tanha chalne ka jangal mein kho jaane ka