barq-raftari pe apni rashk karta tha jahan su-e-azadi hamara qafila tha tez-gam sikhna hai lekin ab mai-khana-e-tamir mein jumbish-e-nabz-e-tamanna o khiram-e-daur-e-jam manzil-e-maqsud tak ye qaum ja sakti nahin jis ke qabze mein nahin asp-e-siyasat ki lagam hum ko bachna chahiye har us bure iqdam se jis se ho matun duniya mein watan ka nek nam ittihad o aashti har dam rahen pesh-e-nazar ja-guzin dil mein rahe zauq-e-amal bil-iltizam daur-e-azadi ka gauhar aish hai aish-e-halal dil ye kahta hai ki yun paband hona hai haram dil ki talqinat par pahle amal farmaiye shauq se phir jashn-e-azadi manate jaiye aish ke saman bhi hon aur farz ka ehsas bhi jashn bhi ho gham-zadon ki naz-bardari bhi ho dakhil-e-adab-e-mai-noshi ho saqi ka adab mastiyan hon mastiyon ke sath hushyari bhi ho kuchh piyen aur kuchh bachaen tishna-kaamon ke liye sadgi ka naz bhi andaz-e-purkari bhi ho haal ki khatir khirad-koshi hai mustahsan magar bahr-e-mustaqbil junun-e-zauq-e-bedari bhi ho narm-raftari ho waqt-e-sair-e-gulzar-e-tarab rah-e-pur-khar-e-amal mein garm-raftari bhi ho is khushi ke waqt kitne dil hain gham se paemal lutf aa jae agar in sab ki gham-khwari bhi ho rone walon ki hansi ko pahle wapas laiye shauq se phir jashn-e-azadi manate jaiye
This is a great azadi shayari 15 august. Please share if you liked this!!!