meinh barasta hai to dharti ki nazar jhumti hai phul khilte hain to gulshan pe nikhaar aata hai lekin ai jashn-e-bahaaran ke nae muntazimo khud-farebi se kahin dil ko qarar aata hai tum agar jashn-e-bahaaran bhi kahoge is ko maut ke ghat ye dhoka bhi utar jaega baad-e-sarsar ko agar tum ne kaha mauj-e-nasim is se mausam mein koi farq nahin aaega ye gulistan ye gulistan mein sisakte ghunche apne aamal ke parde mein inhen dhanp to lo eqtidar aaj bhi sargarm-e-safar hai lekin be-nawaon ke iradon ko zara bhanp to lo aaj insan ki azmat ne kiya hai elan khud-farebi se koi ji ko na bahalaega jab tak aaraish-e-gulzar nahin ho jati kisi konpal kisi ghunche ko na chain aaega lekin ai jashn-e-bahaaran ke nae muntazimo ye tamasha hamein be-kar nazar aata hai meinh barasta hai na dharti ki nazar jhumti hai phul khilte hain na gulshan pe nikhaar aata hai