kabhi jine kabhi marne ki khwahish rok leti hai wagarna main hawa ki lahr mein tahlil ho jaun kidhar jaun ki har-su saaten raste ka patthar hain agar baitha rahun to rakh mein tabdil ho jaun wo jadugar tha jis ne raat par pahre bithae the wagarna ab talak ye chand tare mit chuke hote junun-e-agahi manus aankhon se chhalak jata bisat-e-zindagi ke sare mohre pit chuke hote mujhe malum hai ek chand din ko bhi nikalta hai mujhe malum hai raaten bhi ek khurshid rakhti hain agar ye donon aalam ek ho jaen to phir kya ho hawaen raat din yaktai ki ummid rakhti hain magar in wusaton ko kaun banhon mein sametega kahan se aaegi wo raushni jo muntahi hogi dilon ki tirgi kuchh aur gahri hoti jati hai aziyyat raushni ki din ki rag rag ne sahi hogi kidhar jaun ki har su raste kirnon ki surat hain magar kirnon pe chalna be-qarari ko nahin aata wo nuqta jis pe main hun marqad-e-sham-e-ghariban hai magar is samt koi aah-o-zari ko nahin aata