shajar hajar pe hain gham ki ghataen chhai hui subuk-khiram hawaon ko nind aai hui ragen zamin ke manazir ki pad chalin dhili ye khasta-haali ye darmandagi ye sannata faza-e-nim-shabi bhi hai sansanai hui dhuan dhuan se manazir hain shabnamistan ke sayyara raat ki zulfen hain rasmasai hui ye rang taron bhari raat ke tanaffus ka ki bu-e-dard mein har sans hai basai hui khunuk udas fazaon ki aankhon mein aansu tere firaq ki ye tis hai uthai hui sukut-e-nim-shabi gahra hota jata hai ragen hain sina-e-hasti ki tilmilai hui hai aaj saz-e-nawa-ha-e-khun-chakan ai dost hayat teri judai ki chot khai hui meri in aankhon se ab nind parda karti hai jo tere panja-e-rangin ki thin jagai hui sarishk pale hue tere narm daman ke nashat tere tabassum se jagmagai hui latak wo gesuon ki jaise pech-o-tab-e-kamand lachak bhawon ki wo jaise kaman jhukai hui sahar ka jaise tabassum damak wo mathe ki kiran suhag ki bindi ki lahlahai hui wo ankhdiyon ka fusun rup ki wo dewiyyat wo sina ruh-e-numu jis mein kanmanai hui wo sej sans ki khushbu ko jis pe nind aae wo qad gulab ki ek shakh lahlahai hui wo jhilmilate sitare tere pasine ke jabin-e-sham-e-jawani thi jagmagai hui ho jaise but-kada aazar ka bol uthne ko wo koi baat si goya labon tak aai hui wo dhaj wo dilbari wo kaam-rup aankhon ka sajal adaon mein wo ragni rachai hui ho khwab-gah mein shoalon ki karwaten dam-e-subh wo bhairwin teri bedariyon ki gai hui wo muskuraati hui lutf-e-did ki subhen teri nazar ki shuaon ki gudgudai hui lagi jo tere tasawwur ke narm shoalon se hayat-e-ishq se us aanch ki tipai hui hanuz waqt ke kanon mein chahchahahat hai wo chap tere qadam ki suni-sunai hui hanuz sina-e-mazi mein jagmagahat hai damakte rup ki dipawli jalai hui lahu mein dubi umangon ki maut rok zara harim-e-dil mein chali aati hai dhitai hui rahegi yaad jawan-bewgi mohabbat ki suhag raat ki wo chudiyan badhai hui ye meri pahli mohabbat na thi magar ai dost ubhar gai hain wo choten dabi-dabai hui supurdagi o khulus-e-nihan ke parde mein jo teri narm-nigahi ki thin bithai hui utha chuka hun main pahle bhi hijr ke sadme wo sans dukhti hui aankh dabdabai hui ye hadsa hai ajab tujh ko pa ke kho dena ye saneha hai ghazab teri yaad aai hui ajib dard se koi pukarta hai tujhe gala rundha hua aawaz thar tharrai hui kahan hai aaj tu ai rang-o-nur ki dewi andheri hai meri duniya luti-lutai hui pahunch sakegi bhi tujh tak meri nawa-e-firaq jo kaenat ke ashkon mein hai nahai hui