tang-o-tarik si kothari mein moti moti salakhon ke pichhe ghaliz se farsh par pada hai wo ek qaidi pareshan baal hain aur zard chehra ho jaise haddiyon ka ek dhancha padi hain bediyan panw mein us ke hai jurm us ka apna faqat is qadar ki rah rah ke wo sochta hai yahi wo zindan mein kis jurm par band hai soche wo kyun na aakhir us ki ragon mein bhi to dusre aazad logon ki tarah daudta hai zindagi ka garm khun