hum teri justuju mein agar mar gae qahqahon ka muqaddar sanwar jaega hadson ki nigahen bahak jaengi waqt shoala-ba-lab aazmaish-nafas kaamran kaamran zoam-e-baatil mein gum nakhl-e-takhil ke patte patte ka dil be-mahaba jhulasne ki khwahish liye wadi-e-chashm-e-imkan pe chha jaega hum teri justuju mein agar mar gae rahrawon ke qadam ladkhada jaenge thak ke so jaenge zist ke karwan phir jumud apni farsuda tangi liye har kushada rawani pe chha jaega justuju ke qadam wadi-e-waqt mein manzilon ko pukarenge be-sakhta lekin un ke muqaddar mein rahen kahan un ki aawaz ubharte hi mar jaegi