chand sal us taraf hum shanasa nigahon se bachte-bachate yahin par mile the tumhein yaad hai kaenat ek table ke chaaron taraf ghumti thi hamein dekh kar kitne budhon ki aankhen kisi yaad-e-rafta mein nam ho rahi thi magar main ne aankhon mein apne liye aur tumhaare liye machhliyon ki tarah tairte aansuon mein tamannaen dekhin mujhe yaad hai jab kisi ajnabi mehrban ne hamein phul bheje to tum kitni nerwous huin jald hi khauf, khadshe hawa ho gae dusri tablon par bhi gul-daste hansne lage ab mohabbat ka maskan kahin aur hai ye jagah ab zaban-band dushman ka munh kholne ke liye hai jahan apni table thi ab us jagah ek phanda laga hai kahan aa gai ho mohabbat ka katba uthae hue aao aage chalen