kahani sunao kahani sunao kahani nai ya purani sunao kahani purani wo rajaon wali wahi shan-o-shaukat shahanshahon wali wo hathi wo ghode wo mahle do-mahle tasawwur se jin ki zara dil to bahle wo zarrin ghadiyan wo cham-cham zamane tha sone ki chidiya ye bhaarat hamara bulandi pe tha is ki qismat ka tara ye sab kuchh hamein aaj nani sunao kahani sunao kahani sunao kahani nai ya purani sunao sunao ki jab tha khizaon ka mausam jab apne watan hi mein majbur the hum ghulami ka tha daur hindostan mein dahakte alaw the jannat-nishan mein hukumat thi ghairon ki mahkum hum the zamin tang thi aasmani sitam the chali phir jo badlao ki tez aandhi utha ek nehru utha ek gandhi mili un ko jo kaamrani sunao kahani sunao kahani sunao kahani nai ya purani sunao kahani anokhi kahani nirali kahani nae atomi daur wali sitaron ka insan ka taskhir karna khalaon ko dharti ki jagir karna sunao taraqqi ne kya kya dikhaya batao jo qadmon tale chand aaya karishme jo science ke jalwa-gar hain hamare tumhaare jo zer-e-asar hain haqiqat ye sab munh-zabani sunao kahani sunao kahani sunao kahani nai ya purani sunao