kaisa abr hai jis ke barasne ki

kaisa abr hai jis ke barasne ki
har pal ummid liye

aankhen tishna-lab rahti hain
is ko dekh ke

ye kisht-e-barani bharti hai
ye janmon ki pyas ho jaise is mitti ki

ek ek bund utarti mujh se baaten karti hai
pahle main barish ko dekh ke khush hoti thi

ab main is mein bhig ke is ki baaten sunti hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close