kal aur aaj

shakh par ek ped ki
do kabutar mail-e-raaz-o-niyaz

murgh-zaron mein anadil ki chahak
aarizon par lala-zaron ki lahak

har gali mein zulf-e-mushkin ki mahak
mang mein sindur ki lali

hont par khandan chaman
mai-kade mein dil ke raqsan

aarzuon ki dulhan
har qadam par

kahkashan hi kahkashan
kucha-o-bazar mein

madrason mein aur milon mein
ganw mein aur shahr mein

har taraf
zist ki jalwagari

raushni hi raushni
masjidon mein

masnawi-e-maulwi-e-manawi
mahfilon mein

'mir' o 'ghaalib' ki ghazal
markon mein

shoala-afshan nazarul-e-atish-bayan
radio par

shair-e-mashriq ki nazmen
mandiron mein

surdas aur aurobindo ke bhajan
shahrah-e-waqt par

zindagi ke sang-e-mil
thi nigar-e-zist kal

yun jawan har-dam rawan paiham rawan
ped nange

shakh se latka hua
sar kisi masum ka

aur niche
jism se chimta hua

ghol gidh ka
kucha-o-bazar mein

be-kasi nauhagari
kar-khanon mein mashinen dam-ba-khud

madrason mein nauha-khwan
ilm-o-hikmat ke imam

campon mein zindagi
khak barsar nala bar-lab chashm-e-tar

aur sadkon par
dandanati gadiyan

jin ke chehre par munaqqash red cross
har taraf

maut ki jalwagari
tirgi hi tirgi

masjidon mein
khun ke dhabbe numayan ja-ba-ja

mahfilon mein
khamushi naghma-sara

radio khamosh
telewision sar-nigun

hai nigar-e-zist aaj
muzmahil daman-darida

naqsh-e-gham nala-kunan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close