hamein un se milna hai jo kal ke hain hamare pas wo kal hain aur un ke darmiyan hai madum ek aaj jis ka raqba ek sifr par muhit hai is sifr mein hai ek duniya jo kal se aai hai aur kal ki taraf ja rahi hai hum is kal par ek qalin bichhate jo jahannam mein chalne ka mashwara deti hai main us se puchhta hun kya us ne wisa lagwa liya hai mera passport re-new hone gaya hai agar mere pas hukkaam ki jadid kanizon ke liye na-munasib na samjhe jaane wale tohfe hue to main passport ke baghair bhi is ke sath jaane ke liye kashti mein sawar kar diya gaya aur kashti par pani ka kya udhaar hai ye to main bhi nahin jaanta