kar ke ek bar taghaful na mujhe pyar karo phir se khwabida tamanna ko na bedar karo jaanta hun ki tumhaare liye ek ghair hun main tum pe kya haq hai mera tum mujhe kyon pyar karo dastaras se meri bahar ho tum ai jaan-e-jahan dil magar phir bhi ye kahta hai mujhe pyar karo chupke chupke main tumhein pyar kiya karta tha main ne kab tum se kaha tha ki mujhe pyar karo dil-e-betab mera hosh mein aa jaega apni in mast nigahon ko to hushiyar karo be-rukhi thi to ayaadat ko na aae hote ab jo aae ho to kuchh pursish-e-bimar karo hijr-e-jaanan mein tabiat jo mukaddar hai 'jalil' jao kuchh der ko sair-e-gul-o-gulzar karo