karoge yaad to har baat yaad aaegi guzarte waqt ki har mauj thahar jaegi ye chand bite zamanon ka aaina hoga bhatakte abr mein chehra koi bana hoga udas rah hai koi dastan sunaegi karoge yaad to har baat yaad aaegi barasta bhigta mausam dhuan dhuan hoga pighalti shama pe chehra koi guman hoga hatheliyon ki hina yaad kuchh dilaegi karoge yaad to har baat yaad aaegi gali ke mod pe suna sa koi darwaza tarasti aankh mein rasta kisi ka dekhega nigah dur talak ja ke laut aaegi karoge yaad to har baat yaad aaegi