yahan khwab-e-sukun-parwar mein bhi bedariyan dekhin yahan har hoshiyari mein nai sarshaariyan dekhin yahan ki ghatiyon mein husn ke chashme ubalte hain yahan har chiz par jazbaat-e-insani machalte hain pareshan manzari mein bhi yahan fitrat sanwarti hai khamoshi mein bhi ek mauj-tarannum raqs karti hai wo shaalimar ki ranginiyon mein husn ka jadu wo duniya-e-shabab-o-sher wo gulzar-e-rang-o-bu nashat-e-ruh-afza ki fazaon mein wo rangini wo fawwaron ki naghma-saziyon mein kaif-e-khud-bini wo joban chashma-e-shahi ki doshiza bahaaron ka ki gul phule hain ya jhurmut utar aaya sitaron ka wo unche parbat aur un par wo bal khati hui rahen wo har wadi-e-tamanna-khez phailai hui bahen sanobar ki ghani shakhon ka wo kaif-afrin saya ki jis mein iztirab-e-zindagi ne bhi sukun paya jidhar dekha udhar ek chashma-e-barfab hi dekha nigahon ne meri ek manzar-e-simab hi dekha sar-e-maghrib wo apni sair pani par shikaron mein khizan ka wahm bhi ek pap hai aisi bahaaron mein yahan pani ke dhaare par charagh-e-zist jalte hain yahan maujon ki godi mein kai mallah palte hain kinaron ke wo barqi qumqumon ka aks pani mein ki jaise bijliyan tadpen takhayyul ki rawani mein jilau-khane hain fitrat ke ki ye rangin fazaen hain ye maujen kausar-o-tasnim ki hain ya hawaen hain nigahen jis taraf uthti hain sheristan hai manzar latafat se bhara mausiqiyon ki jaan hai manzar main hairan hun ki is khitte ko kyun kar sar-zamin kahiye sadaqat ka taqaza hai ki firdaus-e-barin kahiye