ai khak-e-hind teri azmat mein kya guman hai dariya-e-faiz-e-qudarat tere liye rawan hai tere jabin se nur-e-husn-e-azal ayan hai allah-re zeb-o-zinat kya auj-e-izz-o-shan hai har subh hai ye khidmat khurshid-e-pur-ziya ki kirnon se gundhta hai choti himaliya ki is khak-e-dil-nashin se chashme hue wo jari chin o arab mein jin se hoti thi aabiyari sare jahan pe jab tha wahshat ka abr tari chashm-o-charagh-e-alam thi sar-zamin hamari sham-e-adab na thi jab yunan ki anjuman mein taban tha mahr-e-danish is wadi-e-kuhan mein 'gautum' ne aabru di is mabad-e-kuhan ko 'sarmad' ne is zamin par sadqe kiya watan ko 'akbar' ne jam-e-ulfat bakhsha is anjuman ko sincha lahu se apne 'rana' ne is chaman ko sab surbir apne is khak mein nihan hain tute hue khandar hain ya un ki haddiyan hain diwar-o-dar se ab tak un ka asar ayan hai apni ragon mein ab tak un ka lahu rawan hai ab tak asar mein dubi naqus ki fughan hai firdaus-e-gosh ab tak kaifiyyat-e-azan hai kashmir se ayan hai jannat ka rang ab tak shaukat se bah raha hai dariya-e-gang ab tak agli si tazgi hai phulon mein aur phalon mein karte hain raqs ab tak taus jangalon mein ab tak wahi kadak hai bijli ki baadalon mein pasti si aa gai hai par dil ke hauslon mein gul sham-e-anjuman hai go anjuman wahi hai hubb-e-watan wahi hai khak-e-watan wahi hai barson se ho raha hai barham saman hamara duniya se mit raha hai nam-o-nishan hamara kuchh kam nahin ajal se khwab-e-giran hamara ek lash-e-be-kafan hai hindostan hamara ilm-o-kamal o iman barbaad ho rahe hain aish-o-tarab ke bande ghaflat mein so rahe hain ai sur-e-hubb-e-qaumi is khwab se jaga de bhula hua fasana kanon ko phir suna de murda tabiaton ki afsurdagi mita de uthte hue sharare is rakh se dikha de hubb-e-watan samae aankhon mein nur ho kar sar mein khumar ho kar dil mein surur ho kar shaida-e-bostan ko sarw-o-saman mubarak rangin tabiaton ko rang-e-sukhan mubarak bulbul ko gul mubarak gul ko chaman mubarak hum be-kason ko apna pyara watan mubarak ghunche hamare dil ke is bagh mein khilenge is khak se uthe hain is khak mein milenge hai ju-e-shir hum ko nur-e-sahar watan ka aankhon ki raushni hai jalwa is anjuman ka hai rashk-e-mahr zarra is manzil-e-kuhan ka tulta hai barg-e-gul se kanta bhi is chaman ka gard-o-ghubar yan ka khilat hai apne tan ko mar kar bhi chahte hain khak-e-watan kafan ko
This is a great hindi shayari for birthday. True lovers of faiz ahmed faiz shayari in hindi will love this. Please share if you liked this!!!