khayaban-e-danish-gah-e-mumbai se yahan raj-path ke safar tak hamesha mere zer-e-pa shahrahen rahi hain aala imaraat sarsabz maidan do-ruya qataron mein ashjar-e-farhan tamaddun ke ghammaz be-misl naql-o-hamal ke zarae tahaffuz ko jaan-baz sar baz har gam aanhken bichhae main ek bachcha-e-qarya-e-dur-uftada lekin mere bakht mein aaj tak pae-takhti sukunat rahi hai aur ab jis idare se wabastagi hai wahan ain lazim hai bairun-e-kishwar yun hi pae-takhti sukunat mile (yani mahfil mein uzlat mile) wo khush-bakht o khush-kaam hon zindagi se shikayat sarasar ghalat na-rawa hai wo bar-haq hai haq jaanta hai magar ye bhi haq hai main ek aisa fan-para hun jis ke fankar is shahr ke kohna ghar mein makin hain jahan wapsi ke meri aaj imkan nahin hain main akasr yahi sochta tha sabhi kuchh mayassar hai phir kyun khala sa kahin hai khula hijr-e-fankar se dil hazin hai