ab kis liye jahan-e-kharabi mein ghumna wo so gai to us ne na dekha ki us ke baad kitni badi qatar khule zawiyon ki thi waqt aa gaya tha wasl-o-mukafat wasl ka unchi zamin pe rail ki khidki ke sath sath ghaaron mein bistaraon mein zamin par razai mein ab kis liye jahan-e-kharabi mein lautna so aashiyan ko misl-e-kabutar udaiye aur din guzar chale to ye bazu samet kar angushtari ko aaine par mar soiye waqt aa gaya hai wasl-o-mukafat-e-wasl ka