raqs sham khadi hai bhuri jhadiyon, pili ghason ke khemon se bahar niklo narm hawaen baalon ki jhaalar se guzarti lambe lambe kanon mein khargoshi karti hain surkh konplen sabz pattiyan sanp chhatriyan jangal mein godam khula hai pagal apne bekal nathnon mein is khush-bu ka chhalla dal ke raqs karo har khatre ko chakma do chor chatanon ke niche sau darwaze hain kisar phulon ke bistar hain dhum machane ko sara maidan pada hai maut aur tum apne shabistan chhod kar is bayaban ke andhere raste par khun mein lat-pat pade ho is ki aakhir kya zarurat thi wahan par tum jahan ke hukmaran the kya nahin tha? khwab ki diwar kyun-kar par karna chahte the is tajassus mein kashish kaisi hai na-malum ko taskhir ki tamanna kis liye hai is purani aarzu-mandi mein kya hai is khayaban ke aqab mein wo jo pur-asrar duniyaen basi hain wo hamein kyun khinchti hain?