mere honton ke mahakte hue naghmon pe na ja mere sine mein kai tarah ke gham palte hain mere chehre pe dikhawe ka tabassum hai magar meri aankhon mein udasi ke diye jalte hain jhank kar dekh meri ruh ki pahnai mein kitne gham kitne fasane hain barafganda naqab kitni napak nigahon ne luteron ki tarah mere ehsas se chhina hai taqaddus ka hijab kitne insan mohabbat ka labaada odhe mere aariz ke subu pi ke mujhe chhod gae kitne hathon ne nichoda hai meri zulfon ko kitne bhanwre mera ras chus ke munh mod gae ek naya khauf budhape ka tasawwur ban kar khatkhatata hai mere zehn ke darwazon ko ghat mein baithi hui waqt ki jadu-garni dho hi dalegi meri zist ke un ghazon ko lekin in talkh haqaeq se tujhe kya lena tu bhi aaya hai kisi dukh ka mudawa karne tu bhi aaya hai khanakte hue sikke le kar tu bhi aaya hai mere jism ka sauda karne