nahin nahin mujhe nur-e-sahar qubul nahin koi mujhe wo meri tirgi ata kar de ki main ne jis ke sahaare bune the khwab pe khwab hazar rang mere mu-qalam mein the jin se bana bana ke but-e-arzu ki taswiren siyah parda-e-shab par bikher din main ne rawan the mere rag-o-pai mein an-ginat naghme wo dukh ke git jo lab-ashna nahin ab tak main tira-bakht tha is tirgi ke daman mein sakun nasib tha nakaam aarzuon ko main apne khwabon se tarik raat se khush tha na jaane kyun palat aai ho sail-e-nur ke sath main ji raha tha tumhaare baghair bhi lekin tumhaari yaad mein main ne wo but banae hain jo aaj tum se bhi badh kar aziz hain mujh ko wo but mere hain mujhe chhod kar na jaenge main apne-ap se be-his buton se khush tha magar tum aa gai ho meri tirgi pe hansne ko tumhaare sath kai gham bhi laut aae hain nahin nahin mujhe ab soz-e-gham ki tab nahin nahin sahar nahin tabir mere khwabon ki nahin mujhe na jagao ki mere khwabon mein tumhaara aks mujhe ab bhi pyar karta hai