nil-gagan ke sagar mein ye chand ki kashti dol rahi hai jaise ek sunahri titli udne ko par taul rahi hai log ye kahte hain kashti mein chand ki budhiya hoti hai raaton ko jaga karti hai aur din bhar wo soti hai lekin main ne ye bhi suna hai chand mein ek aabaadi hai is kashti ko khene wali kirnon ki shahzadi hai ye shahzadi andhiyare ka raj mitane aati hai raat ke dar tak ujiyare ka dip jalane aati hai ye shahzadi subh ko nazron se ojhal ho jati hai aur kisi gumnam jazire mein ja kar so jati hai main bistar par chup leta hun raat jahan se bhag rahi hai kirnon ki shahzadi lekin subh ki fikr mein jag rahi hai