chir ke sal mein do bar zamin ka sina dafn ho jata hun gudgudate hain jo suraj ke sunahre nakhun phir nikal aata hun ab nikalta hun to itna ki batore jo koi daman mein daman phat jae ghar ke jis kone mein le ja ke koi rakh de mujhe bhuk wahan se hat jae phir mujhe piste hain, gundhte hain, senkte hain gundhne senkne mein shakl badal jati hai aur ho jati hai mushkil pahchan phir bhi rahta hun kisan wahi khasta, bad-haal qarz ke panja-e-khunin mein nidhaal is daranti ke tufail kuchh hai mazi se ghanimat mera haal haal se hoga hasin istiqbaal uthte suraj ko zara dekho to ho gaya sara ufuq laln-lal
This is a great kisan shayari in urdu. True lovers of lal kila shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this istaqbal shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!