la-hasil

malgaje se dhundalke mein jab tum uniwersity se
laut rahe hote ho

wahin campus ke bahar
main bhi to baithi hoti hun

kabhi na khatm hone wale intizar mein
main tumhein dekh rahi hoti hun

aur tum
pas se aise guzar jate ho

jaise waqif hi na ho
main wahin dahliz pe baithi rah jati hun

phir pul ke pas se jab tum guzarte hue
dubte suraj ko ek nazar dekhte ho

dur kahin us dubte suraj ki surkh tanbe aisi raushni se tumhaari dahakti jabin par
jab daraden padne lagti hain

main tab bhi tumhein dekh rahi hoti hun
gali ka bulb raushan karte hue

ek pal ke liye soch mein pad jati hun
ab bhala mere liye mann-o-salwa kyon utarne laga

main darwaza khole zindagi ka intizar karti hun
magar wo mere hath nahin aati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close