shikasta ghar hai dahakte aangan mein sin-rasida shajar ke patte bikhar chuke hain parindagan jo yahan chahakne mein mahw rahte the khamushi ki silon ke niche dabe pade hain silen jo ghar ki udhadti chhat se kalam kartin to raushni ko qarar milta qarar jis ne bujhe charaghon ki hairaton ko sabaat bakhsha ufuq se aage hamare hilon fareb dete hue bahanon ki qadr kam thi so hum baqa se fana ki jaanib palat rahe hain khamir-e-adam hai istiara shikastagi ka khala se bahar hamare hone ki kahkashaen sarak rahi hain