la-talluq

mere jism ki tarah
mujh se tum la-talluq ho na jaana

mujhe tum shelf mein padi
udas kitab ke badan mein

chhupa to doge
magar jab udasi had se badhne lage

mujhe tum likhna chaho
to alfaz ke chunaw mein

waqt ki dori tut na jae
khayal rakhna

qalam mein siyahi bhar lena
magar itni bhi nahin

ki andhera ghup andhera
ho jae sab kuchh mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close