lab par nam kisi ka bhi ho, dil mein tera naqsha hai ai taswir banane wali jab se tujh ko dekha hai be-tere kya wahshat hum ko, tujh bin kaisa sabr o sukun tu hi apna shahr hai jaani tu hi apna sahra hai nile parbat udi dharti, chaaron kut mein tu hi tu tujh se apne ji ki khalwat tujh se man ka mela hai aaj to hum bikne ko aae, aaj hamare dam laga yusuf to bazar-e-wafa mein, ek tike ko bikta hai le jaani ab apne man ke pairahan ki girhen khol le jaani ab aadhi shab hai, chaar taraf sannata hai tufanon ki baat nahin hai, tufan aate jate hain tu ek narm hawa ka jhonka, dil ke bagh mein thahra hai ya tu aaj hamein apna le, ya tu aaj hamara ban dekh ki waqt guzarta jae kaun abad tak jita hai farda mahz fusun ka parda, hum to aaj ke bande hain hijr o wasl, wafa aur dhoka sab kuchh aaj pe rakkha hai