sab jhut bolte hain main jab man ke pet mein tha tab bhi jhut nahin bolta tha main ne man ke pet mein taza taza garm surkh khun piya tha paidaish ke baad safed gadha thanda khun mujhe mila jab se main musalsal khun pi raha hun main ne bachpan se ladakpan tak ladakpan se jawani tak bar-ha is khun ka zaiqa chakha hai main is ke baghair zinda nahin rah sakta is ke marne se mera tamam jism aashna hai aksar jab mere jism par koi zakhm lagta hai to be-sakhta zaban is taraf lapakti hai aur mujhe wahi zaiqa yaad aane lagta hai jo main ne pahli bar man ke pet mein chakha tha
This is a great khawaja piya shayari. True lovers of beti ki paidaish shayari will love this. Please share if you liked this!!!