lamha jo amar ho gaya

fitrat-e-muztarib
mera shauq-e-fuzul

jaane kab ek kitab
shelf se teri le aaya tha

yaad ki teri purwai kal jo chali
bol uthe us ke sare waraq

tere lab ke gulab
teri aankhon ke jam

tere mukhde ki subh
teri zulfon ki sham

mustaqil ek khalish
dard-e-be-nam jis ko kahen

aur phir
chand safhon ke ba'd

gul ki ek pankhudi
zard murjhai be-rang si

jism ki tere khushbu thi us mein magar
thi nazakat labon ki tere

ungliyon ke nishan
aansuon ki nami

meri nazron ne phir
us ko sajda kiya

aur wo lamha jaise amar ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close