sulagte din hain tawil tanhaiyan mere sath lete lete faza se aankhen lada rahi hain mere dariche ke pas sunsan rahguzar hai abhi abhi ek rela aaya tha gard ka jo lapet kar le gaya hai tinkon ko sath apne meri kitabon mein kuchh nahin hai huruf be-ruh bad-maza hain hikayaten apne khushk honton ko chatti hain tamam ashaar-e-tishnagi ke lahu mein palken dubo rahe hain na rang-o-naghma na jam-o-mina na raqs-o-masti bagule sab ko nigal rahe hain tumhaari taswir dhundhta hun ki jis ke thande ghanere sae mein baith kar koi baat sochun magar mere pas lu ke jhonke hain gard hai aur kuchh kitaben tumhaari taswir kho chuki hai